Yaadon mein meri tum aaya na karo
Yun baar baar bevaqt hamein sataaya na karo
Pyar karte ho tum bhi humse maloom hai yeh
Yun sabke saamne beithke sharmaaya na karo
Karenge tumse wafa hum har ghadi
Kabhi shikaayat ka mauka na denge tumhein
Haste haste guzaarenge zindagi ka har lamha
Kabhi roothne ka mauka na denge tumhein
Jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sakke
Neendh aankhon se udh gayi hai
Cheyn dil ka kahin kho gaya hai
Haalat dil ki na poocho humse aap….
Kahin mujhe pyar toh nahin hogaya hai Continue Reading…


