Palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
Dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
Tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
Kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi
Main deewaani hun tere nam ki
is baat se inkar nahi,
kaise kahe ki hame aapse pyar nahi,
kuch to kasoor hai aapki nazro ka,
hum akele to gunhegar nahi.
Aankhon ki zubhan wo samajh nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate
Tapat Sooraj mein hoti hain
Tadapna sabko padta hain
kasoor aankhon ka hota hai
Tadapna dil ko padta hai
Tum mujhe bhul na paoge,
Is kadar hum tumhe yaad aayenge…
Yakeen na aaye to aaine me dekhna,
Teri aankhon me hum nazar aayenge….
Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya….
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya…. Continue Reading…